India

Aindah mardum shumari 2021 mein mobile app ke Zariye hogi

By News Desk Roman Urdu

September 23, 2019

New Delhi : Markazi wazeer-e-dakhla Amit Shah ne ek mulk ek pehchan ke nazriye ke tehat sabhi shehrion ke liye ek shanakhti card ka mansoobah pesh kiya hai, jis mein aadhar, passport, driving license aur bank jaisi sabhi sahuliyaat hon. Shah ne yeh bhi kaha ke mardum shumari 2021 ke adad wo shumar ek app ke Zariye jama kiye jayenge.

Is tarhan ka Nizam bhi hona chahiye jis mein kisi shakhs ki mout hotay hi yeh maloomat abadi ke adad wo shumaar mein update hojaye. Shah ne kaha ke,’ aadhar, passport bank khatay, driving license aur voter card jaisi sabhi sahuliyaat ke liye ek hi card hosakta hai. iske imkanaat hain. mulk ki samaji taraqqi, mulk ke aakhri shakhs ki taraqqi aur mulk ke mustaqbil ke mansooboun ke liye mardum shumari bunyaad hai.

Mardum shumari ki ahmiyat ko batatay hue kaha ke mardum shumari koi boriyat wala kaam nahi hai balkay is se hukoomat ko apne mansoobay nafiz karne mein madad millti hai. NPR kayi masail ko suljhanae mein hukoomat ki madad karta hai. markazi dakhla ne kaha kay beti bachao. beti padhao jaisa mansoobah, kam jinsi tanasub wali reyaston mein awam mein baydaari lana, isqaat hamal ke qanoon ko sakht banana jaisi kayi koshish mardum shumari se hi mumkin hoti hai.

Delhi mein registrar general of India ke naye daftar ka iftitah karte hue unhon ne kaha, aakhir hamaray paas aadhar, passport, bank account, driving license aur voter card ke liye ek hi card kyun nahi ho sakta hai. aisa nizaam hona chahiye ke sabhi data ko ek hi card mein rakha ja sakay. aisa mumkin hai. is liye digital mardum shumari ki zaroorat hai. Qabil-e-zikar hai ke pahadi reyaston jammu Kashmir , himachl aur uttarkhand mein 1 october, 2020 se mardum shumari ki karwai shuru hogi, jabkay mulk ke baqi hisson mein 1 March , 2021 se mardum shumari hogi .

Mulk bhar mein 16 zabanoun mein mardum shumari ka kaam hoga. Amit Shah ne kaha ke 2021 ki mardum shumari ka data musatqbil ke hindustan ke mansooboun ki bunyaad hoga. is se pehlay March mein hukoomat ne bataya tha ke mardum shumari is martaba do marhalon mein hogi. mardum shumari 2021 ka padi test 12 august 2019 ko shuru hua tha jo is mahinay ke aakhir mein khatam hoga. Shah ne kaha ke mardum shumari ke kaam mein jumla 33 laakh afraad ki madad li jaegi, jo ghar ghar jaakar adaad wo shumar jama karenge.

Ghhor-e-talabb hai ke 1865 mein mulk mein pehli mardum shumari hui thi, tab se le kar ab tak 15 martaba mardum shumari hui hai. agli yani ke 16 th mardum shumari 2021 mein honi hai aur is zimn may amit shah ne kaha ke mardum shumari 2021 ke aadad wo shumaar mobile app se jama karne ke liye 12000 crore rupay ka budget tey kiya gaya hai. –YTN STAFF