Hyderabad

AIMIM ke Social Media Head ko dhamkiyaan

By Abdul Aziz

August 22, 2018

Hyderabad. Majlis Ittehad ul Mslimeen Party ke Social Media ke Head Mr. Syed Abdahu Quadri @ Kashaf ko jaan se maar daine ki dhamkiyaan di jarahi hain. Mr. Kashaf ne aaj Deputy Commissioner of Police East Zone Mr. M Ramesh se mulaqaat karte hue unhen aik tehreeri mahzar paish kya jis mein unhon ne shikayat ki ke guzashta chand dinon se raat dair gaiy unhen koi call karta hai aur dhamkian deta hai aur badtameezi karta hai. Unhon ne shikayat ki ke woh unhen yeh kahte hue musalsal dhamkian daiy raha ha  ”Tu aja Volta Moghalpura ke paas teku chaurrastey pe goli martey”, ”tu kaha thata baithta sab malum nai bachta ab tu”. Mr. Kashaf ko yeh calls, un ke cell phone number par internet numbers i.e.+ 6373785 aur + 501 se kiye jarahay hain. Unhon ne kaha ke woh is amar se aajiz aachukay hain khaas kar jab woh bahar hotay hain ya kaam par hotay hain. Woh mehsoos karte hain ke koi un ka taaqub kar raha hai aur un ki naqal o harkat par nazar rakh raha hai. Mr. Kashaf ne Police se darkhwast ki ke is ko roka jaye qabal is ke ke un par koi asar pade. Unhon ne is maamla ki tehqeeq karne aur qusoor waar ke khilaaf sakht karwai karne ki appeal ki hai. Bataya jata hai ke DCP ne unhen tayaqqun diya ke woh is ki tehqeeq karenge. DCP ne Station House Officer Chadarghat ko is khusoos mein muqadma darj karne aur tehqeeq karne ki hidaayat di hai. Mr. kashaf ne apne twitter payam mein kaha ke woh in cheezon se ghabranay walay  nahin hain. Aisay waaqiaat un ki zindagi ke roz marrah mamlaat ka hissa ban gay hain, un kath putliyoun se nimatnay ke aadi ban gaiy hain. Unhon ne apne ann dekhe dushmanon ko mukhatib karte hue kaha ke puranay din ja chukay hain, apni ankhen kholeen. AIMIM Party mazboot hathon chalayee jarahi hai. Mr. Kashaf ko di jane wali dhamkion aur un ki police mein shikayat se mukhtalif qisam ki chaymegoyaan ho rahee hain aur bahut se logon ke zahnon mein yeh sawal uth raha hai ke woh kaun hain jo is terha ki dhamkian de raha hai aur is ke pas e parda kya muharikaat ho saktay hain? kya yeh niji maamla hai ya phir Party umoor se is ka koi talluq hai? Shikayat mein yeh bataya gaya ke koi unhen Volta Hotel ke paas anay ka challenge kar raha hai aur wahein chaurasta par golian maardenay ki dhamkian de raha hai jis se kuch log yeh soch rahay hain ke kahin yeh Party ka dakhli maamla to nahi hai?