India

Ahmedabad, Lucknow aur Mangluru Airport 50 saal ke liye Adani Group ke hawalay

By News Desk Roman Urdu

February 14, 2020

New Delhi: Ahmedabad, Lucknow Mangluru Airports ki dekh bhaal ka ikhtiyar 50 saal ke liye Adani Group ko mil gaya hai. Airport Authority of India ( AAI ) ne aaj bataya ke Adani Group ki akayyoun ke sath Teenu Airport ke liye aaj Concession muahiday par dastakhat kiye gaye. Un Aiports ka dekh bhaal Public Private Partnership ki bunyaad par kiya jaye ga. Adani group ke paas Airports ke dekh bhaal Management aur Development ka ikhtiyar hoga. Un Airports se haasil aamdani par Company ka ikhtiyar hoga.

Adani Group ne pehli martaba Airports ke kaarobar mein qadam rakha hai. Is ne kaha ke is ki akayyan Adani Lucknow Airport limited, Adani Ahmedabad bain ul aqwami Airport Limited aur Adani Mangluru Airport Limited ne tenu Airports ke liye mutaliqa allag allag maahdoun par dastakhat kiye. Ye muahiday 50 saal ke liye kiye gaye hain.

AAI ne guzashta baras 6 Airports ki dekh bhaal public private partnership ke tehat khangi companiyoun ko sonpnay ke liye tender jari kiya tha. Is mein Ahmedabad’ Lucknow aur Mangluru ke alawa Jaipur, Guwahati aur Trivandrum Airports shaamil thay. Tamam 6 Airports ke liye Adani Group ne kamyaab boli lagai thi. Un mein 3 Airports ke liye aaj maahdoun par dastakhat huve.

AAI ne kaha ke dekh bhaal ka haq ke badlay Adani Group se usay yak masht raqam miley gi is ka istemaal puranay Airports ke dekh bhaal aur Development aur naye Airports bananay ke liye kiya jayega. –YTN STAFF