Jurm

Adnan Oktar @ Harun Yahya girftar

By Abdul Aziz

July 20, 2018

160 pairokaar bhi zair e hirasat. yeh aik mobayyana jinsi firqa chillate they. firqa ke logon prkhwatin ke jinsi istehsal, nabalighon ke sath mubashrat, aghwaa, qawaneen tax o insidaad e dehshat gardi ki khilaaf warzi karne ke ilzamaat. Adnan ke ihata se bhaari miqdaar mein nawadiraat ka zakheera, hathyaar aur raqam bar aamad.

Istanbul ki aik adalat ney bazam khud aik islami firqa ke rehnuma aur Tv par tableegh karne wali shakhsiyat Adnan Oktar ku jo Harun Yahya se bhi janey jatay hain, 160 deegar pairokaron sameit mukhtalif ilzamaat ki mazeed tafteesh ke liye police ke hawalay kar diya hai. Un ke kayi pairokaar pehlay se hi zair hirasat hain aur un ki tafteesh ki jarahi hai. Adnan Oktar par juraim pesha gang qaim karne, dhoka dahi aur jinsi istehsal ke ilzamaat hain. tark khabar rasan idaray ke mutabiq police ney paanch mukhtalif sobon mein kayi jayidadon par karwai ki taakay maali juraim ke hawala se shawahid haasil kiye ja saken. Istanbul Police ney mukhtalif logon ki janib se fouj daari shikayaat darj krwane par is firqa ke khilaaf karwai karte hue 120 rehaishgaahon aur dafatir par  chaape maaray. Shikayat kunindgan mein 11 sala ladkiyon ke walidain se le kar 40 sala Umar ki khawateen hain . Adnan Oktar ney adalat mein paish kardah charge sheet ki sahet se inkaar karte hue apni rihayi ka mutalba kya aur kaha ke un ke beron mulk rawabit Turk mumlikat ko kamzor karne ke bajaye is ki quvvat badhaane ka bayis hain. Unhon ney id-daa kya ke woh aik saazish ka shikaar baneye gaye hain aur yeh ke woh aik qoum parast aur Ataturkish hain. unhon ney kaha “mujh par aayed jinsi istehsal ke ilzamaat be bunyaad hain. Main awaami aankh mein rehta hon. Har koi mujhe jaanta hai chunkay main awam aur Tv par rehta hoon. Main jin muqamat par rehta hon woh tamam janey pehchane hain” Adnan Oktar ney bataya ke un ki mahana aamdani 3500 Turkish Liras hain jo 730 dollars ke mumasil hoti hai. Inhen 11 July ki awleen sa-aton mein hirasat mein le liya gaya tha. Un ke firqa jaisay group par aik mujremana tanzeem qaim karne, kamsin bachon ke jinsi istehsal, na balighon ke sath mubashrat, aghwaa, qanoon tax ki khilaaf warzi aur qanoon insidaad e dehshat gardi ki khilaaf warzi karne jaisay ilzamaat aayed kiye gaye hain. Harun Yahya ke ihata ki talashi ke douran police ney 6 truckload Historical artifacts aur qadeem nawadiraat ke alawa 400 se zayed yadgar tughre, 7 hathyaar aur 3, 000 se zayed bulltes, luxury cars aur qabil lehaaz naqad raqam ko bar aamad kya hai.

Adnan Oktar. .. @ Harun Yahya kaun hain?

Adnan Oktar ney 1982 mein Istanbul mein apni Islami tanzeem ki bunyaad rakhi thi. Is waqt se Adnan Oktar ney bohat doulat jama ki aur asar o rusookh badhaya. Agarchay mahireen ke mutabiq yeh janna ya maloom karna mushkil hai ke un ki aamdani ka zareya kya hai. haal hi mein Adnan ney aik Tv channel shuru kya hai jis ko woh apne aqayed ki tableegh jis mein bilkhushoos Islam ki tashreeh ke liye istemaal karte hain. Turkey ke sahafion ke mutabiq Adnan ke kuch pairokaar din mein kaam karte hain jab ke deegar un ke firqa ke hawalay se kitaaben tehreer karte hain, media par tashheer karte hain ya tanzeem ke liye karkun bharti karte hain. Harun Yahya ke naam se kitabon mein ‘nazriya irtiqa ke jhoot’ ke baaray mein bataya gaya hai aur yeh kitaaben sarkari hakkaam, ghair mulki sifarat karon aur sahafion ko irsaal ki jati hain. Woh 300 se zayed kitabon ke musannif hain jinhein 73 zabanon mein tarjuma kya gaya hai. Aik naye firqa ke mubalagh Adnan Oktar ka sab se mutanazia pehlu un ki ‘khatoon pairokaron ki fouj’ hai jo bohat ziyada banaou singaar karti hain aur bohat kam kapdon mein malbos hoti hain aur un khawateen ko aksar Adnan ka chulbuli ladkiyon ka haram kaha jata hai. Woh un ke sath raqs o suroor ki mahfilen sajaate hain aur un sab harkato ko mazhabi pairaye mein paish karte hain. Adnan ki tanzeem ko tark karne walay arkaan daawa karte hain ke Adnan –apne pairokaron ki brain washing karte hain, unhein black mail kya jata hai aur jinsi ghulam banaya jata hai aur un mein aksariyat khawateen ki hai. yaad rahay Adnan aur un ki tanzeem ke mutadid arkaan kayi baar mukhtalif mawaqay par Israel ja chuke hain aur wahan un ki aala mazhabi aur siyasi shaksiaat se mulaqaat ho chuki hain jabkay baaz senior Israeli hakkaam Adnan se milney turkey bhi aa chuke hain. aik baras pehlay Adnan ki sarbarahi mein aik wafad ney Israeli parliman ka dora kya tha jahan aala hakkaam se mulaqaat ka mauqa mila aur Israeli wazeer e azam Benjamin Netanyahu se khusoosi taur par taaruf karaya gaya tha. Maazi mein bhi Adnan un ilzamaat ko mustard kar chuke hain aur apni zaat par un hamlon ko Bartanwi khufia services ki nigrani mein honey wali bain ul aqwami saazish qarar day chuke hain. Turkey zaraye ablaagh mein inhen nihayat hi badnaam zamana firqa ke sarbarah se mausoom kya jata hai