Trending News

Abu Dhabi mein corona vaccine ka teesra aur aakhri marhala shuru

By News Desk Roman Urdu

July 17, 2020

Abu Dhabi: Abu Dhabi mein coronavirus ki vaccine ke liye Clinical Trials ka teesra marhala shuru kardiya gaya hai. Ye baat Emarat ke sarkari media office ney batai hai. Muqami media ke mutabiq world health organization ( WHO ) ki fehrist mein coronavirus se bachao ki vaccine ki aazmaishi tayari ke liye Abu Dhabi mein Clinical trial ka ye teesra marhala hai.

Abu Dhabi mein is Clinical trial mein China ke National Biotech Group ( CNBG ) Sinopharm , Abu Dhabi ke cloud computing company group 42 aur Abu Dhabi ke mehakma sahet ke darmain shiraakat qaim hai. Abu Dhabi mehakma sahet ke chairman Sheikh Abdulullah Bin Mohammad Al Hamed is aazmaishi marhalay mein shareek honay walay pehlay shakhs hain un ke baad qaim maqam secretary Jamal  Al Kaabi ka naam aata hai.

Ye vaccine Clinical azmaish ke pehlay aur dosray marahil se guzar chuki hai. Is Vaccine ka koi sangeen manfi rad-e-amal samnay nahi aaya. Ye vaccine aazmaishi marhalay mein shaamil tamam raza karoun mein coronavirus se ladnay ke liye sad feesad Anti Bodies tayyar kere gi. UAE ki sarkari Agency ney kaha hai ke Clinical aazmaishi amal aam tor par 3 marahil mein hi hota hai. Pehlay marhalay mein bunyadi tor par vaccine ki hifazat par ghhor kiya jata hai.

Dosray marhalay mein ek mehdood tadaad mein hifazati teekay laganay ka amal kiya jata hai. Jabkay teesray marhalay mein kayi logoun ke test ke namoonay ke sath vaccine ki taseer par ghhor kiya jata hai. Agar Clinical trial ke pooray amal mein kisi vaccine ki mehfooz aur mo-asar tasdeeq ho jaye to test kamyaab samjha jata hai aur vaccine baday pemanay par tayari ke marhalay mein daakhil ho jati hai.