Riyadh: Saudi Arab mein tafreeh ke naam par rivayet se hatt kar honay wali tabdeelion ko aik janib taraqqi ka naam diya ja raha hai to doosri janib islam pasand tabqa is be raah rawi par mutfakir hai. Saudi Arab ke mashriqi ilaqay Dammam mein pehlay cinema ghar ka iftitah kar diya gaya. Saudi khabar rasan agency ke mutabiq Riyadh aur Jeddah ke baad mashriqi ilaqay mein qaim kiya janey wala yeh pehla cinema ghar hai.
Media general atharti ke aala ohdedar iftetah ke mauqa par mojood they. Cinema west aeon mall mein qaim kiya gaya hai. Atharti ke ohdedar ney kaha ke Mumlikat ke vision 2030 ko mad e nazar rakhtay huwe logon ko sahet mand tafreeh ke behtareen aur aala mawaqay faraham karna hai. Is cinema ghar ke qiyam ka mutalba kaafi arsa se awam ka tha jisay poora kiya gaya.
Wazeh rahay Mumlikat mein pehla Cinema Ghar Riyadh shehar ke kingdom tower mein khola gaya tha jis ka iftetah Shehzada Waleed bin Talal ney kiya tha. Is cinema ghar ko mashriq wasti ka sab se aala cinema ghar kaha ja raha hai jis mein aaram da nashistain nasb ki gayi hain. Shaiqeen ki sahoolat ke liye ristoran ki sahoolat bhi mojod hai. Waiters ki khidmaat bhi muhayya ki gayi hai. Riyadh ke baad jaldh shehar mein dosra cinema ghar 29 January 2019 ko khola gaya jo walks company ki janib se red si mall mein qaim hai.
Cinema industry se talluq rakhney walay mahireen ney kaha hai ke malik mein Cinema ke maidan mein kaafi salahiyat hai. Andaza hai ke aik baras mein 3. 5? crore afraad Cinema se lutaf andoz hon ge. Wazeh rahay Mumlikat mein taraqiyati mansoobon par taizi se amal kiya ja raha hai. Is hawalay se mukhtalif shehron mein Cinema gharon ka qiyam aur tafrehi committee ke tehat Samer fistol ka ineqad jari hai jis mein mukhtalif mumalik ke saqafati programme bhi paish kiye ja rahay hain.