Jurm

Aag haadsay se mutasir log Aziz wo aqarib ki talaash mein pareshan

By News Desk Roman Urdu

December 08, 2019

New Delhi : Delhi ke Rani jhansi road ke nazdeek anaaj mandi mein lagi shadeed aag se mutasir hue log pareshan hokar apnoun ki talaash mein dawakhanoun ke chakkar laga rahay hain lekin koi munasib intizam na honay ki wajah se inhen bohat dikhat ka saamna karna padh raha hai.

Lok naik jaya prakash hospital ( LNJP ) mein moujood Qasim naam ke 1 shakhs ney kaha ke iske sasur is jacket factory mein kaam karte they jis mein aag lagi hai aur abhi tak unka kuch pata nahi chal saka hai. sana ullah naam ke ek deegar shakhs ney kaha ke iski phophi ka beta is factory mein kaam karta tha aur abhi is ke baarey mein bhi koi ittila nahi mili hai.

Ilyas naam ke 1 shakhs ney kaha ke is ke jan-nay walay 1 shakhs Musharraf ki haadsay mein mout hogayi hai. woh uttar pardesh ke Bijnore zila ka rehne wala tha, dawakhanoun mein Musharraf ki laash dekhnay to di gayi lekin usay le jaaney ki ijazat post mortem ke baad hi di jayegi.

Yaad rahe ke Delhi ke rani jhansi road ke nazdeek anaaj mandi mein ek char manzila imarat mein itwar ki subah shadeed aag lag gayi jis mein kam az kam 43 afraad ki dam ghutney se mout hogayi aur marnay waloun ki tadaad mein abhi mazeed izafah hosakta hai.

Fire brigade ke officer ke mutabiq waqea ki ittila subah paanch bajkar 20 minute ke qareeb masool hui aur iske baad fori tor par fire brigade ki 25  se zyada gaadi ko mauqa par bheja gaya. imarat se bahar nikalay gaye logon ko nazdeeqi lok naik jaya prkash hospital ( LNJP mein ilaaj ke liye bheja gaya.

Haadsay mein dam ghutney ki wajah se kam az kam 43 afraad ki mout hogayi hai aur badi tadaad mein dono dawakhanoun mein logoun ka ilaaj kiya jaraha hai. LNJP dawakhana mein laaye gaye 34 afraad ki mout ho chuki hai aur badi tadaad mein zakhmion ka ilaaj kiya jaraha hai. is douran national Disaster response force ( NDRF ) ka amlah mouqa par pohanch gaya hai. fire brigade ki gadiyon ko tang galian honay ki wajah se jaye waqooa par pohanchanay mein kaafi mushaqqat karni padi. –YTN STAFF