Slider

Aab paashi projects ko mustehkam karna Telangana ke wazeer-e-aala ki tarjeeh- 2 ahem jaiza ijlaas munaqqid kiye jayenge

By News Desk Roman Urdu

July 19, 2020

Hyderabad: Aab paashi projects ko mustahkam karna Telangana  ke wazeer-e-aala KCR ki tarjeeh hai jo is mehakma ko bhi mustehkam karna chahtay hain.

Mojooda tour par mehakma aab paashi badey, chotey aur Mutwast shobo par mushtamil hai. is mein IDC, packages aur projects bhi shaamil hain.

KCR ka khayaal hai ke un tamam ko ek hi chat taley laane ki zaroorat hai. woh riyasat ke 2 ahem engineering ke shoba jaat ke sath ijlaas munaqqid karenge.

Mehakma aab paashi ke ohdedaron ke sath ek jaiza ijlaas kal 2 bajey din munaqqid kiya jayega aur mangal ko R&B ohdedaron ke sath ek ijlaas hoga.

wazeer e aala ka maanna hai ke Telangana  ilaqa ko mutahidda AP mein kaafi nazar andaz kiya gaya aur is ke sath ilaqai imtiaz badta gaya. unhon ne kaha kay alahda riyasat ki tashkeel aur mansooboun wo jamey programon par amal ke zareya aab paashi ke shoba ko 6 barsoun mein kamyaab kiya gaya.

Telangana  hukoomat aab paashi ke bhaari projects ki taamer amal mein laayegi aur talabon mein nai jaan daaleygi.

unhon ne kaha kay aab paashi ke masla ko mustaqil hal kiya jayega. unhon ne kaha kay FCI ne elaan kiya hai ke Telangana  se 2019-20 ke douran 55 feesad ijnaas haasil kiye jayenge.

Telangana  ko zaraat ki riyasat mein tabdeel kiya jarha hai. unhon ne kaha kay aab paashi ke shoba ko tarjeeh di jarahi hai. is pas manzar mein mehakma aab paashi ko mustahkam karne ko tarjeeh dena zarori hai.

Woh aab paashi ke shoba ko 15 taa 20 ilaqai divisions mein tabdeel karne ka azm rakhtay hain. har ek division ke liye ek CEO incharge hoga. projects, reserviors, lifts, canals, talaab aur check dams qaim kiye jayenge.

Guzishta hafta hi wazeer e aala ne hukkaam ko hidaayat di thi ke woh is khusos mein musevida tayyar kare.