India

5,500 lawaris laashoun ki aakhri rasomaat ada karne walay Mohammad Shareef ko ”Padma Shri Award“

By News Desk Roman Urdu

January 27, 2020

Ayodhya: Hukoomat Hind ki janib se is saal Padma Awards ke elaan mein Ayodhya ke Mohammad Shareef ka bhi naam shaamil hai. Mohammad Shareef pichlle kayi saloon se baghair kisi mazhabby imtiazi sulooq ke laa waris laashoun ki aakhri rasomaat ada karte arahay hain.

Padma Shri Award ke liye un ke naam ke elaan ke baad Mohammad Shareef kehte hain ke ”27 saal pehlay mere betay ko Sultanpur mein qatal kiya gaya tha aur mujhe is ke baray mein ek mah baad maloom huva. Is ke baad mein ne ye kaam apne haath mein liya. Mein ne 3000 hindu aur 2500 murda musalmanoun ki laashoun ki aakhri rasomaat anjaam di hai“.

Wazeh ho ke, BJP ke aanjhani rehnumao Arun Jaitley, Sushma Swaraj, George Fernandes ko un ke dehanat ke baad Padma Vibhushan se nawaza gaya hai. Goa ke sabiq wazeer aala aur markazi wazeer difaa anjhani Manohar Parrikar ku inki mout ke baad Padam Vibhushan se nawaza gaya hai. Mauritian ke sabiq wazeer aazam Anerood Jugnauth, Boxer aur Rajya Sabha membar Mary Kom aur gulu karah Chunni Lal Mishra bhi Padam Vibhushan se nawaza gaya hai. –YTN STAFF