India

5 Saal mein Kejriwal ki jaedad mein 1 Crore 30 lakh ka izafah

By News Desk Roman Urdu

January 22, 2020

New Delhi: Aam Aadmi Party ( AAP ) ke qaumi Convener aur Delhi ke Chief Minister Arvind Kejriwal ki jaedad mein guzashta 5 saal ke douran 1 crore 30 lakh rupiye ka izafah huva hai. Kejriwal nai Delhi Assembly halqay se teesri martaba intikhabi maidan mein utre hain. Guzashta 5 saal ke douran un ki jumla jaedad mein 1 crore 30 lakh rupiye to naqad mein saat lakh 69 hazaar 736 rupiye ka izafah huva hai.

Guzashta 5 saal ke douran jeet ke tain pur aetmaad Kejriwal ne is martaba achay betee 5 saal, Lagey raho Kejriwal ke naaray ke saat AAP phir intikhabi maidan mein hai. Delhi Assembly ka Election 8 feb ko hona hai. Guzashta martaba AAP ne 70 mein 67 seaten jeet kar tareekh raqam ki thi.

Jaam Nagar House mein daakhil parcha namzadgi mein Kejriwal ki taraf se jayidadke silsilay mein jo halaf nama diya gaya hai. Is mein jumla 3.4 crore rupiye ki jaedad ka zikar kiya hai jo 2015 ke muqablay 1.3 crore rupiye ziyada hai. Guzashta Assembly intikhabaat ke waqt Kejriwal ne halaf naame mein apni jaedad 2.1 crore rupiye batayi thi.

Is baar 2020 ke halaf naame mein Kejriwal ne naqad 9 lakh 95 hazaar 741 rupiye betaye hain jo guzashta martaba 2 lakh 26 hazaar 5 rupiye hi tha. Ghair manqola jaedad ki qeemat bhi 2015 ke muqablay 92 lakh rupiye se badh 1 crore 77 lakh rupiye hogaya. Un ki ghair manqola jaedad ki qeemat mein guzashta 5 saal ke douran 85 lakh rupiye ke izafay ke sath 1 crore rupiye 77 lakh rupiye ho gayi. Un ki ghair manqola jaedad ki qeemat mein guzashta 5 saal ke douran 85 lakh rupiye ka izafah huva hai.

Halaf naame ke mutabiq Kejriwal ne 1998 mein Ghaziabad ke Inderpuram mein saadhay 3 lakh rupiye ki qeemat ka 1 Flat khareeda tha jis ki bazaar mein qeemat filhal 1.4 Crore rupiye hogayi hai. 2015 mein is ki qeemat 55 lakh rupiye thi. Chief Minister ki jaedad ki qeemat 37 lakh rupiye hasb sabiq rahi.

Kejriwal ki biwi Snita Kejriwal jo Indian Revenue Service ( IRS ) ki sabiq afsar hain, Un ki manqola jaedad 2015 ke 15.28 lakh rupiye badh kar 57.01 lakh rupiye hogayi hai. unhoun ne 2010 mein Haryana ke Gurugram mein 61 lakh rupiye ki ghair manqola jaedad khareedi thi jis ki qeemat 2015 mein 1 crore rupay ho gayi thi aur wo 2020 mein bhi itni hi hai. Un ke paas 2015 mein 300 gram sona tha jo 2020 mein badh kar 320 gram hogaya. Guzashta Assembly intikhabaat ke waqt un par 10 muamlay darj they jin ki tadaad ab badh kar 13 hogayi hai. –YTN STAFF