India

2 mahino ke baad Kashmir mein ”Voice call“ khidmat ka aaghaz, phir se apne azeezoun se judh gaye log

By News Desk Roman Urdu

October 15, 2019

Srinagar : 2 mahino ke baad Kashmir mein ”Voice call“ phir se shuru honay se awam mein khushi phail gayi hai aur woh is sahoolat ko paakar kaafi khush hain.

Kashmir mein ab logon ko apne azeezon aur rishte-daaron ko doston ko phone par baat karte hue dekha jaraha hai. Kashmir mein mobile phone aur internet khidmaat 2 mahino se zayed 70 din tak mo-attal hain. ab jaakar postpaid mobile phone khidmaat ka dobarah aaghaz hua hai jis se deegar logon ke alawa talba ko khushi hui hai. Ek maeno mein mobile phone khidmaat ki bahaali ne kashmirion ko phir se jodh diya hai.

voice call phir se shuru hojane se Kashmir ki ek noujawan khatoon Afroza kaafi khush hai kyunkay jab bhi usay baat karni hoti thi to usay apne padosi ke land line par munhasir hona padta tha, magar ab woh apni marzi se Bangalore mein apne mangetar se baat karsakti hai. Afroza ki shadi, jo august ke aakhri haftay mein taye shuda thi, 5 august ko article 370 ko mansookh karne ke baad Kashmir ke lock down ke baais mansookh kardi gayi thi. is ki shadi ab November mein hogi. woh umeed karti hai ke is waqt tak Kashmir se tamam pabandiyan khatam kardi jayengy aur internet khidmaat bhi bahaal hojayengi.

Wahein college ki ek Taliba Sabia Meer ne bataya ke ”mawasilat par pabandi ki wajah se talba ko sab se ziyada takleef ka saamna karna padha“. is ne kaha ke ”hukumat ko logon ki zindagi aasan bananay ke liye muwasilat par tamam pabandion ko khatam karna chahiye yeh hum par ahsaan nahi, balkay yeh hamara haq hai jo cheen liya gaya tha“.

Ittila ke mutabiq, Kashmir mein, 66lakh cell phone mukhtalif khidmaat faraham karne walon ke sath registered hain. magar abhi tak taqreeban 26 lakh prepaid cell phones band hain. sri nagar mein BSNL ke dafatir par lakhoun logon ka hujhoom apne phone ke bills ko clear karne ke liye jama ho raha hai. logon ka kehna hai ke prepaid calls aur internet khidmaat ke dobara bahaali se Kashmir mein halaat mamool par laane mein madad mileygi. –YTN STAFF