Health

18 ghantay ka roza khatarnaak amraaz se bachao ka zareya

By Abdul Aziz

May 19, 2018

Nataij se yeh baat samnay aayi ke khanay peenay ko chod dainay ka waqt is ghizai nizaam ki jaadoyi kunji hai. aik tandrost ensaan ke andar cortisol ( dabao ka hormone ) ki satah subah aath bujey –apne urooj par hoti hai. lehaza nazriati tor par is waqt hamein bharpoor tawanai haasil hoti hai taa ke hum beedar ho saken. aglay roz subah teen bujey yeh hormone apni kam tareen satah par hota hai aur phir paanch ghanton ke baad dobarah –apne nuqta urooj par poanch jata hai

Bartanwi akhbar Daily Mail mein shaya honay walay aik tehqeeqi mutalea mein bataya gaya hai ke agar aap fashaar khoon mein kami, diabities ke marz se tahaffuz aur raat ke waqt khaano ki khwahish par control chahtay hain to is ke liye Ramadhan se hatt kar baqiya dinon mein 18 ghantay ka roza rakha ja sakta hai. ya phir aap khana tanawal karne ka tamam tar silsila sah pehar 3 bujey se pehlay tak mukammal kar len. akhbar ke mutabiq khanay peenay ko saweray chod dainay se zayed wazan ka shikaar mardon ko wazan kam karne aur apni umomi sahet behtar bananay mein madad mili. Birmingham ki university of Albama mein honay walay tehqeeqi mutalea mein ghair musalsal rozay ko jancha gaya jo early time-restricted feeding (eTRF) ke naam se Maroof hai. mohqiqeen ki team ka maqsad ghizai nizaam ki is mazbooti ke sabab ka taayun tha jo rozay par inhisaar karta hai. khuwa yeh kam hararon ke istemaal ya phir khanay peenay ko saweray chod dainay ki soorat mein ho. nataij se yeh baat samnay aayi ke khanay peenay ko chod dainay ka waqt is ghizai nizaam ki jaadoyi kunji hai. aik tandrost ensaan ke andar cortisol (dabao ka hormone) ki satah subah aath bujey –apne urooj par hoti hai. lehaza nazriati tor par is waqt hamein bharpoor tawanai haasil hoti hai taa ke hum beedar ho saken. aglay roz subah teen bujey yeh hormone apni kam tareen satah par hota hai aur phir paanch ghanton ke baad dobarah –apne nuqta urooj par poanch jata hai. misaal tor par chouti ki satah ka yeh waqt subah aath bujey gharri ke ularam ya phir dhoop ka saamna karne ki wajah se haasil ho jata hai. aisa ho jaaney par gurdon ke qareeb waqay Adrenal glands aur dimagh adrenalin ka ikhraj shuru kar dete hain. dopehar se qabal cortisol ki satah kam hona shuru ho jati hai jab ke Adrenalin aur serotonin ka ikhraj jari rehta hai. adhay din par metabolism sargaram ho jata hai aur jism ka bunyadi darjah hararat barh jata hai. is ke nateeja mein hamein bhook lagti hai aur hum khanay ke liye tayyar hotay hain. dopehar ke baad cortisol ki satah mein kami badastoor jari rehti hai. metabolism sust par jata hai aur thakan ghalib aa jati hai. is douran serotonin batadreej Melatonin mein tabdeel hota hai jis se neend mehsoos hoti hai. hamaray jism mein shukar ki satah kam ho jati hai aur subah 3 bujey jab hum apni aadhi neend le chuke hotay hain to cortisol 24 ghanton mein apni kam tareen satah par poanch jata hai. mazkoorah tibbi tehqeeq ke douran diabities ka shikaar 8 mardon naay 5 Hafton tak eTRF ghizai nizaam apnaya phir 5 deegar afraad ko riwayati Amrici khaano se lutaf andoz honay ka mauqa diya gaya .

rozay par mabni nizaam mein har roz subah 6 : 30 bujey se 8 : 30 bujey ke darmain nashta karaya gaya jab ke raat ka khana sah pehar teen bujey se qabal khila diya jata tha. is ke baad baqi poora din yani takreeban 18 ghantay woh kuch nahi khatay peetay they. riwayati Amrici ghizai nizaam mein deegar afraad naay –apne khanay 12 ghanton ke douran khaye. un afraad naay khaano ki miqdaar, hararon ki tadaad aur carbohydrates, proteins aur chiknai ki itni hi miqdaar li jitni pehlay group ke afraad naay istemaal ki thi. tajarbay ke nataij heran kun they jahan eTRF ke parhaiz naay insulin ke hawalay se un ki hsasit ko bohat behtar bana diya aur jism ke andar shukar ki satah mein khatarnaak noiyat ki tabdeeli se bhi mehfooz rakha. un afraad mein fashaar khoon aur takseedi dabao ki satah bhi kam ho gayi. mutalay mein shareek afraad is baat par heran reh gaye ke shaam ke auqaat mein un ki halki phlki ghiza khanay ki khwahish bhi barri had tak dam toar gayi. mazkoorah nataij ki roshni mein tehqeeqi mutalay ke markazi zimmay daar professor peterson ka kehna hai ke ghair musalsal rozay aur khanay ke auqaat jan-nay ke hawalay se mazeed tehqeeq ki zaroorat hai taa ke sahet par is ke asraat ki jaan kaari haasil ki ja sakay