New Delhi : BJP ne ek mahinay ke andar he, 18 din mein do bade leaders ko kho diya hai. 6 August ki shaam sabiq wazeer-e-kharja sushma Swaraj ki mout hui, unki mout ke gham se BJP abhi poori tarha bahar nikal bhi nahi payi thi ke sabiq wazeer-e-khazana Arun Jaitley 24 August ko is duniya se chal basey.
BJP aaj Iqtidaar ke ahem ohday par Faiz ho chuki hai, lekin BJP ke un dono rehnumao ne party ko aisay waqt mein sambhala, jab 2009 ke lok sabha intikhabaat mein shikast ke baad party kaarkunon mein mayoosi ki lehar daud gayi thi.
Sushma Swaraj ne lok sabha mein opposition leader ki haesiyat se aur Rajya sabha mein Arun Jaitley ne mahaaz sambhala. iske baad, dono rehnumao ne doulat mushtarqa kheloun, mehengai aur 2G jaisay umoor par Manmohan Singh hukoomat ko chain se baethnay nahi diya. opposition leader ki haesiyat se shandaar kirdaar ada karne walay yeh dono rehnuma, haqayiq aur apne taqreerat ke fun ke zareya parliament mein awam ki aawaz ban gay the.
Sushma Swaraj aur Arun Jaitley dono peshay se wakeel the. aur inhen Kapil Sibal, Abhishek manu jaisay Bade wakeelon ke sath parliment mein dalail ka saamna karna padta tha. jab bhi BJP ki hindutwa ki siyasat par sawalaat uthate, un dono rehnumao, sushma aur jaitley is ka jawab dete the.
khaas baat yeh hai ke dono rehnuma RSS manzar se nahi aaye the. aroon jitli BJP mein socialist siyasat sat se aayi thi, Jaitley ki soch azad khayaal aur taraqqi pasand thi. jahan ek taraf BJP unki khidmaat ko kabhi bhula nahi payegi. wahein opposition jamaten bhi Sushma Swaraj aur Arun Jaitley jaisay siyasi qaideen ko hamesha yaad rakheengi. –YTN STAFF