Mumbai : 10 saal se qaid muslim noujawan ko adalat naay qanooni taleem jari rakhnay aur imtehaan dainay ki ijazat day di hai. Mumbai ki khusoosi ( NIA) adalat nay dehshat gard muamlay ka saamna kar rahay ek muslim nojawan Nadim Akhtar ko qanoon ki taleem jari rakhnay aur usay imtehaan mein shirkat karne ki mashroot ijazat di hai. Mumbai mein silsila waar bomb dhamaka muqadma ka saamna kar rahay mulzim Nadim Akhtar ko LLb pehlay saal ke dosray marhala ke imthehaan aur practical mein hissa lainay ki ijazat day di hai .
Mulzim Nadim Akhtar nay pehlay marhala mein numaya nishanaat se kamyabi haasil ki hai. mulzim ko qanooni imdaad faraham karne ke sath taleemi wazifa dainay wali tanzeem jamaia ulama maharashtra ( Arshad Madni ) ke wakeel Shahid Nadim aur adil Sheikh nay khusoosi adalat mein ek arzdasht daakhil karkay adalat se mulzim ke imthehaan mein hissa lainay ki ijazat talabb ki thi, jisay khusoosi judge Vinod nay Manzoor karte hue Taluja jail hukkaam ko hukum diya ke imthehaan time table ke mutabiq mulzim ko jail se imthehaan gaah par le jaya jaye aur parcha khatam honay ke baad usay foran taluja jail mein rawana kar diya jaye .
Khusoosi judge nay apne hukum nama mein kaha ke mulzim ko scart Charges ( police ke akhrajaat ) ada karne honge neez imthehaan ke douran usay college intizamia ke alawa kisi bhi shakhs se guftagu karne ki ijazat nahi hogi. mulzim ko qanooni imdaad aur taleemi wazifa muhayya karwane wali tanzeem jamiat ulama qanooni imdaad committee ke sarbarah Gulzaar Aazmi nay kaha ke woh adalat ke mamnon wo mashkoor hain ke unhon naay istighasa ke aitrazaat ke bawajood mulzim ko qanoon ki taleem jari rakhnay ki ijazat di hai .
Unhon nay kaha ke mulzim ke LLb imthehaan mein dakhla lainay ke waqt bhi jamiat ulama ke wukla nay adalat se khusoosi ijazat haasil ki thi aur is ke baad mulzim ko taleemi wazifa bhi diya gaya tha aur mulzim ka pehlay saal ke pehlay marhala ka nateeja itminan bakhash hai . –YTN STAFF