Kuwait City: Kuwait se 1 mah mein 1 lakh se ziyada bairooni afraad apne mulkoun ko wapas chalay gaye. Un mein badi tadaad Misri bashindoun ki hai. Kuwait jareeday Al-Qabas ney mehakma shehri hawabazi ke hawalay se kaha hai ke Kuwait se jaaney wali parwazoun ke adaad-o-shumar se pata chala hai ke is mah Kuwait se rukhsat honay ya be dakhal kiye jaaney walay tarkin ki majmoi tadaad 1 lakh 2 hazaar 623 Record ki gayi hai.
Un ka talluq 27 Arab aur deegar mulkoun se hai. Ye 31 May se 30 June tak 590 parwazoun se Kuwait se apne apne watan ke liye rukhsat huve. Adaad-o-shumar ke mutabiq Kuwait se jaany waloun ki sab se badi tadaad ka talluq Misar se hai. 49986 Misri 293 parwazoun se rawana huve hain. Kuwait Airport se Cairo, Asyut aur Alexandria ke liye parwazein gayi hain.
Dosray number par 30633 hindustani bashinday 185 parwazoun se Kuwait se wapas gaye hain. Ye Kuwait ko kher baad kehnay waloun ka 30 feesad thay. Hindustani bashinday Delhi , Lucknow, Goa aur Madras janey wali parwazoun se rukhsat huve. 2500 Irani 11 parwazon, 2022 Bangladeshi 7 parwazoun, aur 2113 Nepali 15 parwazoun se Kuwait se apne apne mulk rawana huve hain. Pakistan ke 725 shehri 4 parwazoun se wapas gaye jabkay itni hi tadaad mein Sudani bhi rukhsat huve hain.